ab qafas hai na aashiyana hai
ab qafas hai na āshiyāna hai
aah apnā kahāñ Thikāna hai
un kī har baat meñ tarahdārī
apnā har taur shā.irāna hai
kyoñ vafāoñ kā maiñ evaz māñgūñ
kyā mirā ishq tājirāna hai
sharh-e-ġham par tumhārī chīñ-ba-jabīñ
dil-e-nāzuk pe tāziyāna hai
is se baḌh kar koī ibādat kyā
merā sar terā āstāna hai
ham ko aadat hai sāf-goī kī
is liye dushman ik zamāna hai
mere ash.ār paḌh rahe haiñ vo
uns kuchh mujh se ġhā.ebāna hai
ahl-e-fan jis ko sher kahte haiñ
kuchh haqīqat hai kuchh fasāna hai
'dāġh'-o-'chakbast' kī zabāñ urdu
kam-nigāhī kā ab nishāna hai
vo merī qadr ḳhaak jāneñge
jin kī fitrat hī hāsidāna hai
bhuul jaao 'bahār' qissa-e-shauq
mashvara merā muḳhlisāna hai
ab qafas hai na aashiyana hai
aah apna kahan Thikana hai
un ki har baat mein tarahdari
apna har taur shairana hai
kyon wafaon ka main ewaz mangun
kya mera ishq tajirana hai
sharh-e-gham par tumhaari chin-ba-jabin
dil-e-nazuk pe taziyana hai
is se baDh kar koi ibaadat kya
mera sar tera aastana hai
hum ko aadat hai saf-goi ki
is liye dushman ek zamana hai
mere ashaar paDh rahe hain wo
uns kuchh mujh se ghaebana hai
ahl-e-fan jis ko sher kahte hain
kuchh haqiqat hai kuchh fasana hai
'dagh'-o-'chakbast' ki zaban urdu
kam-nigahi ka ab nishana hai
wo meri qadr KHak jaanenge
jin ki fitrat hi hasidana hai
bhul jao 'bahaar' qissa-e-shauq
mashwara mera muKHlisana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.