ab raha kya jo luTana rah gaya
ab rahā kyā jo luTānā rah gayā
zindagī kā ek ta.ana rah gayā
ik ta.alluq jin se thā dil ko kabhī
ab vo rishta ġhā.ebāna rah gayā
thā jo afsāne meñ afsāne kī jaan
ik vahī jumla baḌhānā rah gayā
zindagī kī lazzateñ ruḳhsat huiiñ
ik taḳhayyul shā.irāna rah gayā
sochtā huuñ aur yaad aatā nahīñ
jaane kyā un ko batānā rah gayā
uljhaneñ maazī kī suljhā.eñ magar
hāl-o-mustaqbil meñ shānā rah gayā
kuchh na rahne ke yahāñ hālāt hoñ
ye bhī kyā kam hai fasāna rah gayā
jā.eza us ne liyā ruḳh kā 'nazar'
sāmne ke ruḳh tak aanā rah gayā
ab raha kya jo luTana rah gaya
zindagi ka ek tana rah gaya
ek talluq jin se tha dil ko kabhi
ab wo rishta ghaebana rah gaya
tha jo afsane mein afsane ki jaan
ek wahi jumla baDhana rah gaya
zindagi ki lazzaten ruKHsat huin
ek taKHayyul shairana rah gaya
sochta hun aur yaad aata nahin
jaane kya un ko batana rah gaya
uljhanen mazi ki suljhaen magar
haal-o-mustaqbil mein shana rah gaya
kuchh na rahne ke yahan haalat hon
ye bhi kya kam hai fasana rah gaya
jaeza us ne liya ruKH ka 'nazar'
samne ke ruKH tak aana rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.