ab safar mein hai rasta ban kar
ab safar meñ hai rāsta ban kar
kyā milā hai tujhe havā ban kar
baat bhī rah ga.ī adhūrī hī
lafz bhī kho gayā sadā ban kar
ḳhud se aage nikaltā jaatā hai
chal rahā hai vo rāsta ban kar
phir se us ko talāsh karnā hai
lauT aaya hai vo nayā ban kar
roz ik hādse se guzrā hai
jī rahā hai vo mo.ajiza ban kar
mere hisse meñ aa gayā koī
ik masā.ib kā silsila ban kar
sabz poshāk meñ nikhar aaya
peḌ achchhā lagā harā ban kar
ab safar mein hai rasta ban kar
kya mila hai tujhe hawa ban kar
baat bhi rah gai adhuri hi
lafz bhi kho gaya sada ban kar
KHud se aage nikalta jata hai
chal raha hai wo rasta ban kar
phir se us ko talash karna hai
lauT aaya hai wo naya ban kar
roz ek hadse se guzra hai
ji raha hai wo moajiza ban kar
mere hisse mein aa gaya koi
ek masaib ka silsila ban kar
sabz poshak mein nikhar aaya
peD achchha laga hara ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.