ab samjha hai ab jaana hai
ab samjhā hai ab jaanā hai
begāna phir begāna hai
ye majbūrī par majbūrī
ḳhāmoshī bhī afsāna hai
ye phūloñ kī rut ye aañsū
fitrat hī kuchh ġham khānā hai
kitnī hī aaseñ TuuTī haiñ
itnā hī ab tak jaanā hai
taskīn-e-dil kahiye jis ko
afsāna hī afsāna hai
tere kāran tere baa.is
tere ġham ko ġham jaanā hai
un kā afsāna hai maiñ huuñ
maiñ huuñ un kā afsāna hai
kaisī sub.heñ kaisī shāmeñ
ronā hai yā rulvānā hai
duniyā hañsne vaalī duniyā
rone vaalā dīvāna hai
ab samjha hai ab jaana hai
begana phir begana hai
ye majburi par majburi
KHamoshi bhi afsana hai
ye phulon ki rut ye aansu
fitrat hi kuchh gham khana hai
kitni hi aasen TuTi hain
itna hi ab tak jaana hai
taskin-e-dil kahiye jis ko
afsana hi afsana hai
tere karan tere bais
tere gham ko gham jaana hai
un ka afsana hai main hun
main hun un ka afsana hai
kaisi subhen kaisi shamen
rona hai ya rulwana hai
duniya hansne wali duniya
rone wala diwana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.