ab sarguzisht-e-hijr sunane bhi aaega
ab sarguzisht-e-hijr sunāne bhī aa.egā
jo ruuTh kar gayā hai manāne bhī aa.egā
ban jā.eñgī qarār yahī be-qarāriyāñ
ġham de gayā hai jo vo miTāne bhī aa.egā
rakkhegā rakhne vaalā mirī be-kasī kī laaj
lutf-o-karam kī shaan dikhāne bhī aa.egā
suntā nahīñ jo ab mirā ahvāl vāqa.ī
ik roz le kar apne fasāne bhī aa.egā
ātash-bajāñ haiñ ḳhabar se be-fikr-o-mutma.in
jis ne lagā.ī hai vo bujhāne bhī aa.egā
us ko ḳhulūs-e-dil kī kashish khīñch lā.egī
aa.egā to vo aane bahāne bhī aa.egā
rū-posh ho sakeñgī kahāñ ḳhud-numā.īyāñ
ā.īna-rū jamāl dikhāne bhī aa.egā
nikhregī ye fazā-e-mukaddar bhī ai 'rishī'
māhaul kā mizāj Thikāne bhī aa.egā
ab sarguzisht-e-hijr sunane bhi aaega
jo ruTh kar gaya hai manane bhi aaega
ban jaengi qarar yahi be-qarariyan
gham de gaya hai jo wo miTane bhi aaega
rakkhega rakhne wala meri be-kasi ki laj
lutf-o-karam ki shan dikhane bhi aaega
sunta nahin jo ab mera ahwal waqai
ek roz le kar apne fasane bhi aaega
aatash-bajaan hain KHabar se be-fikr-o-mutmain
jis ne lagai hai wo bujhane bhi aaega
us ko KHulus-e-dil ki kashish khinch laegi
aaega to wo aane bahane bhi aaega
ru-posh ho sakengi kahan KHud-numaiyan
aaina-ru jamal dikhane bhi aaega
nikhregi ye faza-e-mukaddar bhi ai 'rishi'
mahaul ka mizaj Thikane bhi aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.