Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab shab-e-gham agar nahin na sahi

Syed Fakhruddiin Balley

ab shab-e-gham agar nahin na sahi

Syed Fakhruddiin Balley

MORE BYSyed Fakhruddiin Balley

    ab shab-e-ġham agar nahīñ na sahī

    dāman-e-barg tar nahīñ na sahī

    zinda-dārān-e-shab ko merī tarah

    intizār-e-sahar nahīñ na sahī

    dasht-paimā ke ās-pās agar

    koī dīvār-o-dar nahīñ na sahī

    aam hai justujū-e-jahl-e-ḳhirad

    shahr meñ dīda-var nahīñ na sahī

    haiñ farishte azal se tang-nazar

    aadmī mo'atabar nahīñ na sahī

    dil dhaḌakte hoñ saath saath agar

    yaad pesh-e-nazar nahīñ na sahī

    har-nafas ek tāziyāna hai

    aah meñ kuchh asar nahīñ na sahī

    maut hai mustaqil ta.āqub meñ

    zindagī ḳhud-nigar nahīñ na sahī

    sar uThā kar zamīñ pe chaltā huuñ

    sar chhupāne ko ghar nahīñ na sahī

    peḌ paudoñ kuchh kamī to nahīñ

    ek sūkhā shajar nahīñ na sahī

    ab shab-e-gham agar nahin na sahi

    daman-e-barg tar nahin na sahi

    zinda-daran-e-shab ko meri tarah

    intizar-e-sahar nahin na sahi

    dasht-paima ke aas-pas agar

    koi diwar-o-dar nahin na sahi

    aam hai justuju-e-jahl-e-KHirad

    shahr mein dida-war nahin na sahi

    hain farishte azal se tang-nazar

    aadmi mo'atabar nahin na sahi

    dil dhaDakte hon sath sath agar

    yaad pesh-e-nazar nahin na sahi

    har-nafas ek taziyana hai

    aah mein kuchh asar nahin na sahi

    maut hai mustaqil taaqub mein

    zindagi KHud-nigar nahin na sahi

    sar uTha kar zamin pe chalta hun

    sar chhupane ko ghar nahin na sahi

    peD paudon ki kuchh kami to nahin

    ek sukha shajar nahin na sahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now