ab soch rahe hain yahan kya kya nahin dekha
ab soch rahe hain yahan kya kya nahin dekha
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
ab soch rahe haiñ yahāñ kyā kyā nahīñ dekhā
nikle jo tirī samt to rasta nahīñ dekhā
tū ne kabhī āñkhoñ se bahā.e nahīñ aañsū
tū ne kabhī dariyāoñ ko bahtā nahīñ dekhā
phir yuuñ hai ki sūraj ko nahīñ jāntā vo shaḳhs
jis ne mire āñgan kā añdherā nahīñ dekhā
karte haiñ bahut baat ye vīrānī-e-dil kī
un logoñ ne shāyad mirā huliya nahīñ dekhā
go gardish-e-daurāñ meñ haiñ din-rāt magar yaañ
hai aisī siyāhī ki saverā nahīñ dekhā
us shaḳhs ko aayā nahīñ milne kā salīqa
us shaḳhs ne is saal bhī mela nahīñ dekhā
ab soch rahe hain yahan kya kya nahin dekha
nikle jo teri samt to rasta nahin dekha
tu ne kabhi aankhon se bahae nahin aansu
tu ne kabhi dariyaon ko bahta nahin dekha
phir yun hai ki suraj ko nahin jaanta wo shaKHs
jis ne mere aangan ka andhera nahin dekha
karte hain bahut baat ye virani-e-dil ki
un logon ne shayad mera huliya nahin dekha
go gardish-e-dauran mein hain din-raat magar yan
hai aisi siyahi ki sawera nahin dekha
us shaKHs ko aaya nahin milne ka saliqa
us shaKHs ne is sal bhi mela nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.