ab tabiat ko kahin aur lagaya hua hai
ab tabī'at ko kahīñ aur lagāyā huā hai
maiñ jise apnā samajhtā thā parāyā huā hai
mere hāthoñ se kisī taur nahīñ hotā ḳharch
ye jo ik shaḳhs tire baa'd kamāyā huā hai
raat bhar saath rahā jism ke vo jaañ kī tarah
sub.h hote hī jo mahbūb parāyā huā hai
ab bhī mansūb hai jo naam mire naam ke saath
us kā kahnā hai ki vo us kā kamāyā huā hai
diin kī bāteñ kiyā kartā hai vo mahfil mahfil
aisā lagtā hai vo duniyā kā satāyā huā hai
maiñ jo ik baat se sau baat banā letā huuñ
terā samjhāyā huā terā sikhāyā huā hai
shahr kā shahr tire naam se ḳhā.if hai 'nūr'
tū ne chup rah ke bahut shor machāyā huā hai
ab tabi'at ko kahin aur lagaya hua hai
main jise apna samajhta tha paraya hua hai
mere hathon se kisi taur nahin hota KHarch
ye jo ek shaKHs tere ba'd kamaya hua hai
raat bhar sath raha jism ke wo jaan ki tarah
subh hote hi jo mahbub paraya hua hai
ab bhi mansub hai jo nam mere nam ke sath
us ka kahna hai ki wo us ka kamaya hua hai
din ki baaten kiya karta hai wo mahfil mahfil
aisa lagta hai wo duniya ka sataya hua hai
main jo ek baat se sau baat bana leta hun
tera samjhaya hua tera sikhaya hua hai
shahr ka shahr tere nam se KHaif hai 'nur'
tu ne chup rah ke bahut shor machaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.