ab tak andheri raat ka manzar nahin gaya
ab tak añdherī raat kā manzar nahīñ gayā
sūraj nikal chukā hai magar Dar nahīñ gayā
dil se kabhī vo chāñd sā paikar nahīñ gayā
aayā nazar kī raah to bāhar nahīñ gayā
sāhil tamām umr yūñhī tishna-lab rahā
pyāse ke paas uTh ke samandar nahīñ gayā
saarā vajūd kirchiyāñ ban kar bikhar gayā
shīshe se bach ke ek bhī patthar nahīñ gayā
taaza havā kī qadr vo jaane to kis tarah
vo to kabhī bhī shahr se bāhar nahīñ gayā
kyā hai ye 'tapish' ye kisī ko pata nahīñ
bāhar se sab mile koī andar nahīñ gayā
ab tak andheri raat ka manzar nahin gaya
suraj nikal chuka hai magar Dar nahin gaya
dil se kabhi wo chand sa paikar nahin gaya
aaya nazar ki rah to bahar nahin gaya
sahil tamam umr yunhi tishna-lab raha
pyase ke pas uTh ke samandar nahin gaya
sara wajud kirchiyan ban kar bikhar gaya
shishe se bach ke ek bhi patthar nahin gaya
taza hawa ki qadr wo jaane to kis tarah
wo to kabhi bhi shahr se bahar nahin gaya
kya hai ye 'tapish' ye kisi ko pata nahin
bahar se sab mile koi andar nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.