ab Tak bhi dard sahne ki aadat nahin hui
ab Tak bhī dard sahne kī aadat nahīñ huī
ya.anī ki tum ko yaar mohabbat nahīñ huī
karte haiñ chal ai dil mire koshish ye āḳhirī
Dolī meñ bas vo baiThī hai ruḳhsat nahīñ huī
kahnā to thā par us ne yuuñ dekhā mirī taraf
mere laboñ se koī bhī harakat nahīñ huī
buḌhiyā jo ghar meñ rahtī thī jis din se mar ga.ī
baad us ke ghar meñ koī bhī barakat nahīñ huī
sach hai ki zikr-e-ishq se bachtā rahā huuñ maiñ
sach ye bhī hai mirī kabhī himmat nahīñ huī
yādoñ meñ us kī aaj bhī bahte haiñ ashk yuuñ
jaise ye kal kī baat ho muddat nahīñ huī
ab Tak bhi dard sahne ki aadat nahin hui
yani ki tum ko yar mohabbat nahin hui
karte hain chal ai dil mere koshish ye aaKHiri
Doli mein bas wo baiThi hai ruKHsat nahin hui
kahna to tha par us ne yun dekha meri taraf
mere labon se koi bhi harakat nahin hui
buDhiya jo ghar mein rahti thi jis din se mar gai
baad us ke ghar mein koi bhi barakat nahin hui
sach hai ki zikr-e-ishq se bachta raha hun main
sach ye bhi hai meri kabhi himmat nahin hui
yaadon mein us ki aaj bhi bahte hain ashk yun
jaise ye kal ki baat ho muddat nahin hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.