ab tak hamari aql se parda haTa nahin
ab tak hamari aql se parda haTa nahin
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
ab tak hamārī aql se parda haTā nahīñ
samjhā usī ko aasrā jo aasrā nahīñ
insāniyat kī had meñ jo banda ḳhudā nahīñ
us kā vajūd us ke kisī kaam kā nahīñ
ḳhud aadmī kā dil hī agar rahnumā nahīñ
duniyā kī rahbarī se use fā.eda nahīñ
āsāñ to hai zabān se kah duuñ ḳhudā nahīñ
mushkil ye aa paḌī hai ki dil māntā nahīñ
iz.hār-e-vāqi.a hai ye tujh se gila nahīñ
duniyā ye kah rahī hai ki us kā ḳhudā nahīñ
tanzīm-e-kā.enāt hamāre sipurd hai
ham se baḌā jahān meñ paidā huā nahīñ
kahte haiñ jis ko arsh mire dil kā naam hai
dil meñ mire nahīñ to kahīñ bhī ḳhudā nahīñ
insāñ kī zaat maz.har-e-takmīl-e-kā.enāt
jis kī ye ibtidā ho to phir intihā nahīñ
sarkash banā rahī haiñ tirī be-niyāziyāñ
vo tujh ko kyā batā.ūñ jo tujh se chhupā nahīñ
kis darja dil-fareb tilism-e-numūd hai
ham toḌnā bhī chāheñ to ye TūTtā nahīñ
ab tak hamari aql se parda haTa nahin
samjha usi ko aasra jo aasra nahin
insaniyat ki had mein jo banda KHuda nahin
us ka wajud us ke kisi kaam ka nahin
KHud aadmi ka dil hi agar rahnuma nahin
duniya ki rahbari se use faeda nahin
aasan to hai zaban se kah dun KHuda nahin
mushkil ye aa paDi hai ki dil manta nahin
izhaar-e-waqia hai ye tujh se gila nahin
duniya ye kah rahi hai ki us ka KHuda nahin
tanzim-e-kaenat hamare sipurd hai
hum se baDa jahan mein paida hua nahin
kahte hain jis ko arsh mere dil ka nam hai
dil mein mere nahin to kahin bhi KHuda nahin
insan ki zat mazhar-e-takmil-e-kaenat
jis ki ye ibtida ho to phir intiha nahin
sarkash bana rahi hain teri be-niyaziyan
wo tujh ko kya bataun jo tujh se chhupa nahin
kis darja dil-fareb tilism-e-numud hai
hum toDna bhi chahen to ye TuTta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.