ab tak jo andar thi bahar rakh di hai
ab tak jo andar thī bāhar rakh dī hai
mez pe ik tasvīr sajā kar rakh dī hai
tum chāho to apnī raat javāñ kar lo
maiñ ne apnī raat bujhā kar rakh dī hai
kaun aayā thā āḳhir mere kamre meñ
kis ne har ik chiiz sajā kar rakh dī hai
ek udāsī kam thī kyā jo ab maiñ ne
ik hañstī tasvīr bhī lā kar rakh dī hai
us se dil kī baat to kah aayā huuñ maiñ
lekin jaltī chiiz havā par rakh dī hai
nange pattoñ ke tan par jaane kis ne
raat ga.e ik barf kī chādar rakh dī hai
jis ko DhūñD rahā huuñ maiñ saare ghar meñ
maiñ ne hī vo chiiz chhupā kar rakh dī hai
ab tak jo andar thi bahar rakh di hai
mez pe ek taswir saja kar rakh di hai
tum chaho to apni raat jawan kar lo
main ne apni raat bujha kar rakh di hai
kaun aaya tha aaKHir mere kamre mein
kis ne har ek chiz saja kar rakh di hai
ek udasi kam thi kya jo ab main ne
ek hansti taswir bhi la kar rakh di hai
us se dil ki baat to kah aaya hun main
lekin jalti chiz hawa par rakh di hai
nange patton ke tan par jaane kis ne
raat gae ek barf ki chadar rakh di hai
jis ko DhunD raha hun main sare ghar mein
main ne hi wo chiz chhupa kar rakh di hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 124)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.