ab tak kahin tu fikr mein aabaad hi na ho
ab tak kahīñ tū fikr meñ ābād hī na ho
ye iztirāb-e-qalb tirī yaad hī na ho
dhokā na ho tumhārī nazar kā ai bismilo
hamdard jo banā hai vo sayyād hī na ho
jo miT gayā hai ishq meñ dil ḳhush-nasīb hai
us dil kā mas.ala hai jo barbād hī na ho
kyā sochtā hai apne par-o-bāl dekh kar
vo tā.ir-e-ġharīb jo āzād hī na ho
ye be-ruḳhī alāmat-e-dard-e-kuhan na ho
ye ḳhāmushī kahīñ koī fariyād hī na ho
ab tak kahin tu fikr mein aabaad hi na ho
ye iztirab-e-qalb teri yaad hi na ho
dhoka na ho tumhaari nazar ka ai bismilo
hamdard jo bana hai wo sayyaad hi na ho
jo miT gaya hai ishq mein dil KHush-nasib hai
us dil ka masala hai jo barbaad hi na ho
kya sochta hai apne par-o-baal dekh kar
wo tair-e-gharib jo aazad hi na ho
ye be-ruKHi alamat-e-dard-e-kuhan na ho
ye KHamushi kahin koi fariyaad hi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.