ab tak koi sukun ka manzar nahin mila
ab tak koī sukūn kā manzar nahīñ milā
sahrā to the safar meñ samundar nahīñ milā
afsos ye nahīñ ki qabā chaak ho ga.ī
hai ranj ye ki koī rafūgar nahīñ milā
dushman nahīñ ye sab mire ahbāb haiñ magar
kis kis kī āstīn meñ ḳhanjar nahīñ milā
is kā malāl hai ki maiñ urdu huuñ is liye
dil meñ jagah milī hai magar ghar nahīñ milā
ye rah-guzar bhī jaise sarāboñ kā dasht hai
ab tak to koī miil kā patthar nahīñ milā
saare jahāñ kī ḳhaak uḌāne ke baa'd bhī
maulā tire nizām kā daftar nahīñ milā
ab tak koi sukun ka manzar nahin mila
sahra to the safar mein samundar nahin mila
afsos ye nahin ki qaba chaak ho gai
hai ranj ye ki koi rafugar nahin mila
dushman nahin ye sab mere ahbab hain magar
kis kis ki aastin mein KHanjar nahin mila
is ka malal hai ki main urdu hun is liye
dil mein jagah mili hai magar ghar nahin mila
ye rah-guzar bhi jaise sarabon ka dasht hai
ab tak to koi mil ka patthar nahin mila
sare jahan ki KHak uDane ke ba'd bhi
maula tere nizam ka daftar nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.