ab tak to tha niyat pe ab shak hai liyaqat pe
ab tak to thā nīyat pe ab shak hai liyāqat pe
kaafī hai ye ik misra' qaa.id kī qayādat pe
voToñ ke liye dange ab 'aam rivāyat hai
gar ye hai siyāsat to lā'nat hai siyāsat pe
ye kaaTh kī hāñDī ko phir phir haiñ chaḌhā lete
hairāñ hai jahāñ in kī is fan meñ mahārat pe
kyā ḳhuub qavā.id haiñ ye amn-bahālī ke
āzād hai nafrat aur pahre haiñ mohabbat pe
ghaḌiyāl ke aañsū ye kyā ḳhuub bahāte haiñ
dahqān kī ġhurbat pe mazdūr kī hālat pe
ye ahl-e-siyāsat sab, bas un ke piyāde haiñ
qābiz haiñ jo kuchh kunbe kul mulk kī daulat pe
sadiyoñ kī ġhulāmī kā shāyad hai asar baaqī
bajtī hai yahāñ taalī hākim kī himāqat pe
har fatvā-e-muftī meñ thā daḳhl-e-shah-e-daurāñ
kyoñ aaj uThāte ho angusht adālat pe
sar sharm se jhuktā hai afgār hai dil hotā
hotī hai siyāsat jab afsos shahādat pe
rahbar hai 'sadā' kaun ab kuchh aas kareñ jis se
ik bhī to nahīñ chaltā ab rāh-e-sadāqat pe
ab tak to tha niyat pe ab shak hai liyaqat pe
kafi hai ye ek misra' qaid ki qayaadat pe
woTon ke liye dange ab 'am riwayat hai
gar ye hai siyasat to la'nat hai siyasat pe
ye kaTh ki hanDi ko phir phir hain chaDha lete
hairan hai jahan in ki is fan mein mahaarat pe
kya KHub qawaid hain ye amn-bahaali ke
aazad hai nafrat aur pahre hain mohabbat pe
ghaDiyal ke aansu ye kya KHub bahate hain
dahqan ki ghurbat pe mazdur ki haalat pe
ye ahl-e-siyasat sab, bas un ke piyaade hain
qabiz hain jo kuchh kunbe kul mulk ki daulat pe
sadiyon ki ghulami ka shayad hai asar baqi
bajti hai yahan tali hakim ki himaqat pe
har fatwa-e-mufti mein tha daKHl-e-shah-e-dauran
kyon aaj uThate ho angusht adalat pe
sar sharm se jhukta hai afgar hai dil hota
hoti hai siyasat jab afsos shahadat pe
rahbar hai 'sada' kaun ab kuchh aas karen jis se
ek bhi to nahin chalta ab rah-e-sadaqat pe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.