ab talKHi-e-gham mein ai hamdam ek guna halawat hoti hai
ab talKHi-e-gham mein ai hamdam ek guna halawat hoti hai
Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
MORE BYRaja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
ab talḳhī-e-ġham meñ ai hamdam ik guuna halāvat hotī hai
ab dard meñ kuchh kuchh mere liye taskīn kī sūrat hotī hai
rahtā hai guzargāh-e-dil par masrūf-e-ḳhirām-e-nāz koī
qad fitna-e-mahshar hotā hai aur chaal qayāmat hotī hai
dariyā-e-talātum-ḳhez meñ ham maujoñ ke sahāre jiite haiñ
tūfāñ ke thapeḌoñ se puḳhta insān kī fitrat hotī hai
kyā un ko sunā.eñ qissa-e-ġham vo ab tak ye samjhe hī nahīñ
kyā ġham kā fasāna hotā hai kyā ġham kī hikāyat hotī hai
ab aap ke hoñToñ par ik pur-asrār tabassum rahtā hai
aur āñkhoñ meñ ik halkī sī ma.asūm sharārat hotī hai
ab dekhiye kyā anjām rahe ummīd kā dāman chhūT gayā
ab tark-e-mohabbat par maa.il uftād-e-tabī.at hotī hai
maiñ aksar ḳhud ko rone par āmāda pā kar hañstā huuñ
lekin kabhī yuuñ bhī hotā hai be-sāḳhta riqqat hotī hai
ab talKHi-e-gham mein ai hamdam ek guna halawat hoti hai
ab dard mein kuchh kuchh mere liye taskin ki surat hoti hai
rahta hai guzargah-e-dil par masruf-e-KHiram-e-naz koi
qad fitna-e-mahshar hota hai aur chaal qayamat hoti hai
dariya-e-talatum-KHez mein hum maujon ke sahaare jite hain
tufan ke thapeDon se puKHta insan ki fitrat hoti hai
kya un ko sunaen qissa-e-gham wo ab tak ye samjhe hi nahin
kya gham ka fasana hota hai kya gham ki hikayat hoti hai
ab aap ke honTon par ek pur-asrar tabassum rahta hai
aur aankhon mein ek halki si masum shararat hoti hai
ab dekhiye kya anjam rahe ummid ka daman chhuT gaya
ab tark-e-mohabbat par mail uftad-e-tabiat hoti hai
main aksar KHud ko rone par aamada pa kar hansta hun
lekin kabhi yun bhi hota hai be-saKHta riqqat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.