ab tarz-e-amal unki badal jae to achchha
ab tarz-e-amal un kī badal jaa.e to achchhā
hāl-e-dil-e-nāshād sañbhal jaa.e to achchhā
har roz sunātā huuñ use qissa-e-ulfat
afsūñ ye mirā yaar pe chal jaa.e to achchhā
bechain rahā kartā huuñ rahne se maiñ us ke
siine se mire dil hī nikal jaa.e to achchhā
josh-e-mai-e-ulfat se na phaT jaa.e ḳhum-e-dil
āñkhoñ se ubal kar ye nikal jaa.e to achchhā
dil rashk se sulgāte haiñ 'sābir' kā vo har roz
iksīr bane aisā ye jal jaa.e to achchhā
ab tarz-e-amal un ki badal jae to achchha
haal-e-dil-e-nashad sanbhal jae to achchha
har roz sunata hun use qissa-e-ulfat
afsun ye mera yar pe chal jae to achchha
bechain raha karta hun rahne se main us ke
sine se mere dil hi nikal jae to achchha
josh-e-mai-e-ulfat se na phaT jae KHum-e-dil
aankhon se ubal kar ye nikal jae to achchha
dil rashk se sulgate hain 'sabir' ka wo har roz
iksir bane aisa ye jal jae to achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.