ab tere intizar ki aadat nahin rahi
ab tere intizār kī aadat nahīñ rahī
pahle kī tarah goyā mohabbat nahīñ rahī
zauq-e-nazar hamārā baḌhā hai kuchh is tarah
tere jamāl par bhī qanā.at nahīñ rahī
furqat meñ us kī roz hī hotī thī ik ġhazal
ab shā.irī zarīya-e-rāhat nahīñ rahī
duniyā ne tere ġham se bhī begāna kar diyā
ab dil meñ tere vasl kī chāhat nahīñ rahī
kuchh ham bhī thak ga.e tire dar par khaḌe khaḌe
tum meñ bhī pahle jaisī saḳhāvat nahīñ rahī
takte haiñ roz ek hī sūrat alam kī ham
yārab tire jahāñ meñ bhī jiddat nahīñ rahī
ab tere intizar ki aadat nahin rahi
pahle ki tarah goya mohabbat nahin rahi
zauq-e-nazar hamara baDha hai kuchh is tarah
tere jamal par bhi qanaat nahin rahi
furqat mein us ki roz hi hoti thi ek ghazal
ab shairi zariya-e-rahat nahin rahi
duniya ne tere gham se bhi begana kar diya
ab dil mein tere wasl ki chahat nahin rahi
kuchh hum bhi thak gae tere dar par khaDe khaDe
tum mein bhi pahle jaisi saKHawat nahin rahi
takte hain roz ek hi surat alam ki hum
yarab tere jahan mein bhi jiddat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.