ab tere shahr mein ghar-bar kahan milte hain
ab tire shahr meñ ghar-bār kahāñ milte haiñ
log milte haiñ mujhe yaar kahāñ milte haiñ
yuuñ to kahne ko mayassar hai mujhe sab lekin
tere mā'sūm se inkār kahāñ milte haiñ
har koī raat kī raanī kā pujārī Thahrā
ḳhushk phūloñ ko ḳharīdār kahāñ milte haiñ
shahr ke shahr mashīnoñ ne nigal rakkhe haiñ
aadmī zaat ke āsār kahāñ milte haiñ
kuchh na kuchh baat ke pīchhe bhī chhupā hotā hai
varna ye dost bhī bekār kahāñ milte haiñ
har koī pīchhā chhuḌāne ke liye phirtā hai
hālat-e-qaht meñ dildār kahāñ milte haiñ
tū ne 'imrān' kafan bāñdh rakhā hai sar par
tere jaisoñ ko talabgār kahāñ milte haiñ
ab tere shahr mein ghar-bar kahan milte hain
log milte hain mujhe yar kahan milte hain
yun to kahne ko mayassar hai mujhe sab lekin
tere ma'sum se inkar kahan milte hain
har koi raat ki rani ka pujari Thahra
KHushk phulon ko KHaridar kahan milte hain
shahr ke shahr mashinon ne nigal rakkhe hain
aadmi zat ke aasar kahan milte hain
kuchh na kuchh baat ke pichhe bhi chhupa hota hai
warna ye dost bhi bekar kahan milte hain
har koi pichha chhuDane ke liye phirta hai
haalat-e-qaht mein dildar kahan milte hain
tu ne 'imran' kafan bandh rakha hai sar par
tere jaison ko talabgar kahan milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.