ab to aae nazar mein jo bhi ho
ab to aa.e nazar meñ jo bhī ho
niiñd ke bām-o-dar meñ jo bhī ho
jism-o-jāñ kā makāñ huā ḳhālī
aise tanhā safar meñ jo bhī ho
gūñjte haiñ fazā meñ sannāTe
TūTne ke asar meñ jo bhī ho
gum to hogā sitāra-e-shab-e-dil
kam hai is raat bhar meñ jo bhī ho
dhuup ho abr ho ki sāya-e-gul
ab to is rahguzar meñ jo bhī ho
'ḳhāvar' us sabz ḳhema-e-gul tak
is kaḌī dopahar meñ jo bhī ho
ab to aae nazar mein jo bhi ho
nind ke baam-o-dar mein jo bhi ho
jism-o-jaan ka makan hua KHali
aise tanha safar mein jo bhi ho
gunjte hain faza mein sannaTe
TuTne ke asar mein jo bhi ho
gum to hoga sitara-e-shab-e-dil
kam hai is raat bhar mein jo bhi ho
dhup ho abr ho ki saya-e-gul
ab to is rahguzar mein jo bhi ho
'KHawar' us sabz KHema-e-gul tak
is kaDi dopahar mein jo bhi ho
- Book : siip (Magzin) (Pg. 264)
- Author : Fikr-e-Nau
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.