ab to aate honge kab ke bheje hain
ab to aate hoñge kab ke bheje haiñ
maiñ ne tum ko lene raste bheje haiñ
apnī taraf se terā vaqt bachāyā hai
terī taraf se ḳhud ko dilāse bheje haiñ
us kī luġhat meñ tanhā.ī kā lafz bhī hai
jis ne har ik shai ke joḌe bheje haiñ
qāsid kī jāñ-baḳhshī par mamnūn huuñ maiñ
ḳhat meñ us ne ḳhat ke purze bheje haiñ
kaise kam ho sakte haiñ jo ġham tū ne
maap aur taul ke andāze se bheje haiñ
sarhad paar kisī par jab bhī pyaar aayā
ham-sāyoñ ko yūñhī tohfe bheje haiñ
tārīkī ham khīñch ke laa.e haiñ ghar tak
Dūbte sūraj ko bas tinke bheje haiñ
amn kī ḳhātir itnā hī kar saktā thā
maiñ ne jañg meñ apne beTe bheje haiñ
ab to aate honge kab ke bheje hain
main ne tum ko lene raste bheje hain
apni taraf se tera waqt bachaya hai
teri taraf se KHud ko dilase bheje hain
us ki lughat mein tanhai ka lafz bhi hai
jis ne har ek shai ke joDe bheje hain
qasid ki jaan-baKHshi par mamnun hun main
KHat mein us ne KHat ke purze bheje hain
kaise kam ho sakte hain jo gham tu ne
map aur taul ke andaze se bheje hain
sarhad par kisi par jab bhi pyar aaya
ham-sayon ko yunhi tohfe bheje hain
tariki hum khinch ke lae hain ghar tak
Dubte suraj ko bas tinke bheje hain
amn ki KHatir itna hi kar sakta tha
main ne jang mein apne beTe bheje hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.