ab to aksar ye sochta hun main
ab to aksar ye sochtā huuñ maiñ
bā-vafā huuñ ki bevafā huuñ maiñ
chhā gayā kaun merī hastī par
saare aalam pe chhā gayā huuñ maiñ
kyoñ koī nāḳhudā talāsh karūñ
ḳhud hī kashtī kā nāḳhudā huuñ maiñ
ab mujhe DhūñDhnā nahīñ āsān
terī yādoñ meñ kho chukā huuñ maiñ
zindagī kī maiñ bhiik kyoñ māñgūñ
zindagī se to māvarā huuñ maiñ
ālam-e-hosh ne qadam chūme
be-ḳhudī meñ jidhar gayā huuñ maiñ
hādsoñ ne mujhe tarāshā hai
varna patthar se khurdurā huuñ maiñ
kyā ġharaz hai mujhe farishtoñ se
koī insān DhūñDhtā huuñ maiñ
is tarah dekhte haiñ log mujhe
jaise terī koī adā huuñ maiñ
aap zahmat na kījiye ai ḳhizr
apnī manzil se āshnā huuñ maiñ
koī kah de ye bijliyoñ se 'bahār'
phir nasheman banā rahā huuñ maiñ
ab to aksar ye sochta hun main
ba-wafa hun ki bewafa hun main
chha gaya kaun meri hasti par
sare aalam pe chha gaya hun main
kyon koi naKHuda talash karun
KHud hi kashti ka naKHuda hun main
ab mujhe DhunDhna nahin aasan
teri yaadon mein kho chuka hun main
zindagi ki main bhik kyon mangun
zindagi se to mawara hun main
aalam-e-hosh ne qadam chume
be-KHudi mein jidhar gaya hun main
hadson ne mujhe tarasha hai
warna patthar se khurdura hun main
kya gharaz hai mujhe farishton se
koi insan DhunDhta hun main
is tarah dekhte hain log mujhe
jaise teri koi ada hun main
aap zahmat na kijiye ai KHizr
apni manzil se aashna hun main
koi kah de ye bijliyon se 'bahaar'
phir nasheman bana raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.