ab to asbab-o-ilal se mujhe bartar kar de
ab to asbāb-o-ilal se mujhe bartar kar de
is farīze pe farishtoñ ko muqarrar kar de
khīñch kar husn ke andām se zar-baft libās
mayyat-e-ishq kī uryānī pe chādar kar de
us ko mil jaa.e mirī zaat kī taḳhlīq kā lutf
mere paars ke liye tū mujhe patthar kar de
ḳhud se aaya na gayā ham ko bulāyā sar-e-arsh
is pe da.avā ki ġham-e-ishq meñ mahshar kar de
yā tasalsul se nikal kar ruḳh-e-tasvīr meñ aa
yā miirī zaat ko tasvīr se bāhar kar de
vo jafā-pesha na kar pā.egā sar tūr-e-vajūd
mashvara hai ki irāde ko muaḳhḳhar kar de
ab to asbab-o-ilal se mujhe bartar kar de
is farize pe farishton ko muqarrar kar de
khinch kar husn ke andam se zar-baft libas
mayyat-e-ishq ki uryani pe chadar kar de
us ko mil jae meri zat ki taKHliq ka lutf
mere pars ke liye tu mujhe patthar kar de
KHud se aaya na gaya hum ko bulaya sar-e-arsh
is pe dawa ki gham-e-ishq mein mahshar kar de
ya tasalsul se nikal kar ruKH-e-taswir mein aa
ya meri zat ko taswir se bahar kar de
wo jafa-pesha na kar paega sar tur-e-wajud
mashwara hai ki irade ko muaKHKHar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.