ab to be-qabu hue jate hain dard-e-dil se hum
ab to be-qābū hue jaate haiñ dard-e-dil se ham
kaise guzreñge qarār-e-zabt kī manzil se ham
dushmanoñ se dostī kā kaam ham ne le liyā
aaj maujoñ ke sahāre mil ga.e sāhil se ham
ik zarā sī aañkh ke til meñ ye qudrat hai tirī
saarī duniyā dekhte haiñ aañkh ke ik til se ham
ḳhāksārī zeb hai ham ko nahīñ shāyāñ ġhurūr
gul meñ mil jā.eñge ham paidā hue haiñ gul se ham
shab ko tāroñ din ko dīvāroñ se bahlāte haiñ dil
kāTte haiñ roz-o-shab furqat meñ kis mushkil se ham
un kā ro.ab-e-husn hī 'nashtar' hijāb-e-husn hai
aañkh uThā kar dekh sakte haiñ unheñ mushkil se ham
ab to be-qabu hue jate hain dard-e-dil se hum
kaise guzrenge qarar-e-zabt ki manzil se hum
dushmanon se dosti ka kaam hum ne le liya
aaj maujon ke sahaare mil gae sahil se hum
ek zara si aankh ke til mein ye qudrat hai teri
sari duniya dekhte hain aankh ke ek til se hum
KHaksari zeb hai hum ko nahin shayan ghurur
gul mein mil jaenge hum paida hue hain gul se hum
shab ko taron din ko diwaron se bahlate hain dil
kaTte hain roz-o-shab furqat mein kis mushkil se hum
un ka roab-e-husn hi 'nashtar' hijab-e-husn hai
aankh uTha kar dekh sakte hain unhen mushkil se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.