ab to hum had se guzarte hi chale jate hain
ab to ham had se guzarte hī chale jaate haiñ
aise marte haiñ ki marte hī chale jaate haiñ
na ḳhushī aa.ī kabhī na ye tasalsul TuuTā
ham ba-tartīb bikharte hī chale jaate haiñ
zindagī hai ki sañbhaltī hī nahīñ hai apnī
hādse haiñ ki guzarte hī chale jaate haiñ
kis meñ himmat hai musalsal ye tamāshā dekhe
log nazroñ se utarte hī chale jaate haiñ
chand chūhe mirī taqdīr meñ aa baiThe haiñ
merī ḳhushiyoñ ko kutarte hī chale jaate haiñ
ġham koī ġham na hoñ ab dost ho jaise mere
ek ik kar ke pasarte hī chale jaate haiñ
ab to hum had se guzarte hi chale jate hain
aise marte hain ki marte hi chale jate hain
na KHushi aai kabhi na ye tasalsul TuTa
hum ba-tartib bikharte hi chale jate hain
zindagi hai ki sanbhalti hi nahin hai apni
hadse hain ki guzarte hi chale jate hain
kis mein himmat hai musalsal ye tamasha dekhe
log nazron se utarte hi chale jate hain
chand chuhe meri taqdir mein aa baiThe hain
meri KHushiyon ko kutarte hi chale jate hain
gham koi gham na hon ab dost ho jaise mere
ek ek kar ke pasarte hi chale jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.