ab to jo manzar-e-shadab nazar aata hai
ab to jo manzar-e-shādāb nazar aatā hai
aisā lagtā hai koī ḳhvāb nazar aatā hai
is hasīñ shahr meñ har samt hai logoñ kā hujūm
aur insāñ hai ki nāyāb nazar aatā hai
kab talak jins-e-vafā shahr meñ arzāñ hogī
ab ye dariyā bhī to pāyāb nazar aatā hai
gardish-e-vaqt ne aise bhī tarāshe haiñ sarāb
dasht-e-be-āb meñ girdāb nazar aatā hai
hone lagtā hai tire qurb kā ehsās mujhe
chaudhvīñ shab ko jo mahtāb nazar aatā hai
terī añgusht-e-hinā.ī kā jise lams mile
vo nagīna baḌā ḳhush-āb nazar aatā hai
us kī ḳhushbū se mo.attar mirā āñgan hai 'ra.īs'
jāgtī aañkh se ye ḳhvāb nazar aatā hai
ab to jo manzar-e-shadab nazar aata hai
aisa lagta hai koi KHwab nazar aata hai
is hasin shahr mein har samt hai logon ka hujum
aur insan hai ki nayab nazar aata hai
kab talak jins-e-wafa shahr mein arzan hogi
ab ye dariya bhi to payab nazar aata hai
gardish-e-waqt ne aise bhi tarashe hain sarab
dasht-e-be-ab mein girdab nazar aata hai
hone lagta hai tere qurb ka ehsas mujhe
chaudhwin shab ko jo mahtab nazar aata hai
teri angusht-e-hinai ka jise lams mile
wo nagina baDa KHush-ab nazar aata hai
us ki KHushbu se moattar mera aangan hai 'rais'
jagti aankh se ye KHwab nazar aata hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 87)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.