ab to mere KHayal se aage nikal gaya
ab to mire ḳhayāl se aage nikal gayā
ye 'ishq ḳhadd-o-ḳhāl se aage nikal gayā
sayyād soch meñ hai ghar ab jā.ūñ kis tarah
phir ik parinda jaal se aage nikal gayā
phirtā rahā maiñ sach yahāñ le kar idhar udhar
vo jhuuT ke maqāl se aage nikal gayā
phir rang kā.enāt ke mujh pe khule yahāñ
jab maiñ tire malāl se aage nikal gayā
maiñ apne ab nasīb se kaise gila karūñ
jab us kī dekh-bhāl se aage nikal gayā
ab to mere KHayal se aage nikal gaya
ye 'ishq KHadd-o-KHal se aage nikal gaya
sayyaad soch mein hai ghar ab jaun kis tarah
phir ek parinda jal se aage nikal gaya
phirta raha main sach yahan le kar idhar udhar
wo jhuT ke maqal se aage nikal gaya
phir rang kaenat ke mujh pe khule yahan
jab main tere malal se aage nikal gaya
main apne ab nasib se kaise gila karun
jab us ki dekh-bhaal se aage nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.