ab to muqabla hai ruKH-o-zulf-e-yar mein
ab to muqābla hai ruḳh-o-zulf-e-yār meñ
hai fasl kā mubāhisa lail-o-nahār meñ
mumkin nahīñ hai fasl ruḳh-o-zulf-e-yār meñ
kab infisāl ho sake lail-o-nahār meñ
jis ko ġharaz ho jaa.e vo tauba kī chhāñv meñ
baiThā huuñ maiñ to sāya-e-dīvār-e-yār meñ
jis qāfile meñ saath ho mahmil-nashīñ mirā
lailā vahāñ kahāñ ho shumār-o-qatār meñ
mash.hūr to haiñ vāmiq-o-farhād-o-qais-o-nal
mujh sā nahīñ hai ek bhī in tiin chaar meñ
us sang-dil ko hai vahī aġhmāz go yahāñ
jaa.e phaḌak ke jaan nikal intizār meñ
qāsid jo phir ke aa.e to phir tan meñ jaan aa.e
martā javāb-e-nāma ke huuñ intizār meñ
behosh kartā hai tirā kahnā ye naaz se
mujh ko na chheḌ niiñd ke huuñ maiñ ḳhumār meñ
ḳhurshīd kī tarah maiñ sarāpā huuñ ek daaġh
dāġhoñ kī aur jā nahīñ is jism-e-zār meñ
iizā hai sā.iloñ se mudām ahl-e-faiz ko
patthar lagāte haiñ shajar-e-meva-dār meñ
'daula' ġhazal ik aur sunā is zamīn meñ
baaqī hai josh bhī to dil-e-be-qarār meñ
ab to muqabla hai ruKH-o-zulf-e-yar mein
hai fasl ka mubahisa lail-o-nahaar mein
mumkin nahin hai fasl ruKH-o-zulf-e-yar mein
kab infisal ho sake lail-o-nahaar mein
jis ko gharaz ho jae wo tauba ki chhanw mein
baiTha hun main to saya-e-diwar-e-yar mein
jis qafile mein sath ho mahmil-nashin mera
laila wahan kahan ho shumar-o-qatar mein
mashhur to hain wamiq-o-farhad-o-qais-o-nal
mujh sa nahin hai ek bhi in tin chaar mein
us sang-dil ko hai wahi aghmaz go yahan
jae phaDak ke jaan nikal intizar mein
qasid jo phir ke aae to phir tan mein jaan aae
marta jawab-e-nama ke hun intizar mein
behosh karta hai tera kahna ye naz se
mujh ko na chheD nind ke hun main KHumar mein
KHurshid ki tarah main sarapa hun ek dagh
daghon ki aur ja nahin is jism-e-zar mein
iza hai sailon se mudam ahl-e-faiz ko
patthar lagate hain shajar-e-mewa-dar mein
'daula' ghazal ek aur suna is zamin mein
baqi hai josh bhi to dil-e-be-qarar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.