ab to sahra mein rahenge chal ke diwanon ke sath
ab to sahrā meñ raheñge chal ke dīvānoñ ke saath
dahr meñ mushkil huā jiinā jo farzānoñ ke saath
ḳhatm ho jā.eñge qisse kal ye dīvānoñ ke saath
phir inheñ dohrāoge tum kitne unvānoñ ke saath
bazm meñ ham ko bulā kar aap uTh kar chal diye
kyā sulūk-e-nāravā jaa.ez hai mehmānoñ ke saath
nafrateñ phailā rahe haiñ kaisī shaiḳh-o-barhaman
kyā shumār in kā kareñge aap insānoñ ke saath
un kī āñkhoñ kī gulābī se jo ham maḳhmūr haiñ
ik ta’alluq hai qadīmī ham ko paimānoñ ke saath
har taraf kū-e-butāñ meñ hasratoñ kā hai hujūm
ek dil laa.e the ham to apnā armānoñ ke saath
kal talak dānāoñ kī sohbat meñ the sab ke imaam
aaj kaise sust haiñ yuuñ shaiḳh nā-dānoñ ke saath
un kī āñkheñ ik taraf ye jām-o-mīnā ik taraf
kis tarah gardish meñ haiñ paimāne paimānoñ ke saath
'āshiqoñ ke dil meñ shab fānūs raushan ho ga.e
sham' kā jiinā hai lāzim apne parvānoñ ke saath
haif gulzār-e-jahāñ meñ gul yagāne ho ga.e
lahlahā kar ab rahegā sabza begānoñ ke saath
ab to sahra mein rahenge chal ke diwanon ke sath
dahr mein mushkil hua jina jo farzanon ke sath
KHatm ho jaenge qisse kal ye diwanon ke sath
phir inhen dohraoge tum kitne unwanon ke sath
bazm mein hum ko bula kar aap uTh kar chal diye
kya suluk-e-narawa jaez hai mehmanon ke sath
nafraten phaila rahe hain kaisi shaiKH-o-barhaman
kya shumar in ka karenge aap insanon ke sath
un ki aankhon ki gulabi se jo hum maKHmur hain
ek ta’alluq hai qadimi hum ko paimanon ke sath
har taraf ku-e-butan mein hasraton ka hai hujum
ek dil lae the hum to apna armanon ke sath
kal talak danaon ki sohbat mein the sab ke imam
aaj kaise sust hain yun shaiKH na-danon ke sath
un ki aankhen ek taraf ye jam-o-mina ek taraf
kis tarah gardish mein hain paimane paimanon ke sath
'ashiqon ke dil mein shab fanus raushan ho gae
sham' ka jina hai lazim apne parwanon ke sath
haif gulzar-e-jahan mein gul yagane ho gae
lahlaha kar ab rahega sabza beganon ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.