ab to soch liya hai yaro dil ka KHun ho jaane dun
ab to soch liyā hai yaaro dil kā ḳhuuñ ho jaane duuñ
jin logoñ ne dard diyā hai maiñ un ko afsāne duuñ
aur zarā sī der meñ thak kar so jā.eñge taare bhī
kab tak ghāyal hoñToñ ko maiñ giit birah ke gaane duuñ
apne junūñ kā siina chhalnī hone duuñ maiñ kab tak aur
itne saare farzāne haiñ kis kis ko samjhāne duuñ
kab tak vo malhār kī tāneñ qaid meñ rakkheñ dekhūñ to
ab to dīpak raag alāpūñ aur ḳhud ko jal jaane duuñ
maiñ majbūr akelā raahī lekin rāhbar itne haiñ
kis kis kī agvāhī mānūñ kis kis ko bahkāne duuñ
ab to soch liya hai yaro dil ka KHun ho jaane dun
jin logon ne dard diya hai main un ko afsane dun
aur zara si der mein thak kar so jaenge tare bhi
kab tak ghayal honTon ko main git birah ke gane dun
apne junun ka sina chhalni hone dun main kab tak aur
itne sare farzane hain kis kis ko samjhane dun
kab tak wo malhaar ki tanen qaid mein rakkhen dekhun to
ab to dipak rag alapun aur KHud ko jal jaane dun
main majbur akela rahi lekin rahbar itne hain
kis kis ki agwahi manun kis kis ko bahkane dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.