ab to taqlid ke zindan se nikalne do mujhe
ab to taqlīd ke zindāñ se nikalne do mujhe
vaqt badlā hai to thoḌā sā badalne do mujhe
maiñ kahāñ aur kahāñ vaqt ke namrūd kī aag
apne hī sho.ala-e-ehsās meñ jalne do mujhe
kis liye aa ke khaḌī hai mire aage zulmat
maiñ to sūraj huuñ nikalnā hai nikalne do mujhe
chhūT jaa.e na kahīñ haath se dāmān-e-vafā
kuchh to ai gardish-e-ayyām sañbhalne do mujhe
mujh ko manzūr nahīñ ġhair kā qālib hargiz
apne TuuTe hue sāñche hī meñ Dhalne do mujhe
ḳhvāb kī dhund hai kuchh der meñ chhaT jā.egī
so ke uTThā huuñ zarā aañkh to malne do mujhe
hogā irfān-e-haqīqat bhī kisī din 'ahmad'
kūcha-e-vahm-o-gumāñ se to nikalne do mujhe
ab to taqlid ke zindan se nikalne do mujhe
waqt badla hai to thoDa sa badalne do mujhe
main kahan aur kahan waqt ke namrud ki aag
apne hi shoala-e-ehsas mein jalne do mujhe
kis liye aa ke khaDi hai mere aage zulmat
main to suraj hun nikalna hai nikalne do mujhe
chhuT jae na kahin hath se daman-e-wafa
kuchh to ai gardish-e-ayyam sanbhalne do mujhe
mujh ko manzur nahin ghair ka qalib hargiz
apne TuTe hue sanche hi mein Dhalne do mujhe
KHwab ki dhund hai kuchh der mein chhaT jaegi
so ke uTTha hun zara aankh to malne do mujhe
hoga irfan-e-haqiqat bhi kisi din 'ahmad'
kucha-e-wahm-o-guman se to nikalne do mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.