ab to us samt se nafrat bhi nahin aati hai
ab to us samt se nafrat bhī nahīñ aatī hai
aise hālāt kī shāmat bhī nahīñ aatī hai
hijr se TuuT ke maiñ āh-o-bukā karne lagā
mujh anāḌī ko mohabbat bhī nahīñ aatī hai
ham murā.āt ke laa.eq hī nahīñ haiñ shāyad
ham ko to Thiik se mid.hat bhī nahīñ aatī hai
ye vilāyat hai ki jis raah pe vo chal rahe haiñ
is qadar gir ke to daulat bhī nahīñ aatī hai
ġhair ke saath vo aayā hai mire ghar 'taslīm'
vaise tanhā to musībat bhī nahīñ aatī hai
ab to us samt se nafrat bhi nahin aati hai
aise haalat ki shamat bhi nahin aati hai
hijr se TuT ke main aah-o-buka karne laga
mujh anaDi ko mohabbat bhi nahin aati hai
hum muraat ke laeq hi nahin hain shayad
hum ko to Thik se midhat bhi nahin aati hai
ye wilayat hai ki jis rah pe wo chal rahe hain
is qadar gir ke to daulat bhi nahin aati hai
ghair ke sath wo aaya hai mere ghar 'taslim'
waise tanha to musibat bhi nahin aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.