ab to wo mail-e-jafa bhi nahin
ab to vo mā.il-e-jafā bhī nahīñ
dil mirā un ko bhūltā bhī nahīñ
nigah-e-nāz kah ga.ī sab kuchh
aur kahne ko kuchh kahā bhī nahīñ
kaun lā.egā tāb-e-lutf-o-karam
dil to shā.ista-e-jafā bhī nahīñ
yaad to terī ḳhair kyā karte
bhuul hī jaate ye huā bhī nahīñ
jaane kyoñ jī rahe haiñ ahl-e-vafā
aasrā sā kuchh aasrā bhī nahīñ
yuuñ to piitā nahīñ kabhī 'nāshād'
tum pilāo to pārsā bhī nahīñ
ab to wo mail-e-jafa bhi nahin
dil mera un ko bhulta bhi nahin
nigah-e-naz kah gai sab kuchh
aur kahne ko kuchh kaha bhi nahin
kaun laega tab-e-lutf-o-karam
dil to shaista-e-jafa bhi nahin
yaad to teri KHair kya karte
bhul hi jate ye hua bhi nahin
jaane kyon ji rahe hain ahl-e-wafa
aasra sa kuchh aasra bhi nahin
yun to pita nahin kabhi 'nashad'
tum pilao to parsa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.