ab to wo shaKHs zamane mein asar rakhta hai
ab to vo shaḳhs zamāne meñ asar rakhtā hai
das se jo biis banāne kā hunar rakhtā hai
apne kirdār se hotī hai shikāyat jis ko
apne bachchoñ pe baḌī saḳht nazar rakhtā hai
vaqt ke saath na badlā mire qātil kā mizāj
aaj bhī hoñT mire ḳhuun se tar rakhtā hai
us ko bhī log añdheroñ se Darāne nikle
dastaras meñ jo ka.ī shams-o-qamar rakhtā hai
ab kā insān hai aisā ki yaqīn aatā nahīñ
martaba ūñchā farishtoñ se bashar rakhtā hai
ab ke bauchhār bahut hogī 'zafar' tīroñ se
vo chale saath jo patthar kā jigar rakhtā hai
ab to wo shaKHs zamane mein asar rakhta hai
das se jo bis banane ka hunar rakhta hai
apne kirdar se hoti hai shikayat jis ko
apne bachchon pe baDi saKHt nazar rakhta hai
waqt ke sath na badla mere qatil ka mizaj
aaj bhi honT mere KHun se tar rakhta hai
us ko bhi log andheron se Darane nikle
dastaras mein jo kai shams-o-qamar rakhta hai
ab ka insan hai aisa ki yaqin aata nahin
martaba uncha farishton se bashar rakhta hai
ab ke bauchhaar bahut hogi 'zafar' tiron se
wo chale sath jo patthar ka jigar rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.