ab to yahi hain dil se duaen
ab to yahī haiñ dil se du'ā.eñ
bhūlne vaale bhuul hī jaa.eñ
baat to jab hai yuuñ vo rulā.eñ
daaġh bhī dil ke dhulte jaa.eñ
vaj.h-e-sitam kuchh ho to batā.eñ
ek mohabbat laakh ḳhatā.eñ
dard-e-mohabbat dil meñ chhupāyā
aañkh ke aañsū kaise chhupā.eñ
hosh aur un kī diid kā dā'vā
dekhne vaale hosh meñ aa.eñ
dil kī tabāhī bhūle nahīñ ham
dete haiñ ab tak tum ko du'ā.eñ
rang-e-zamāna dekhne vaale
un kī nazar bhī dekhte jaa.eñ
shaġhl-e-mohabbat ab hai ye 'taskīñ'
she'r kaheñ aur jī bahlā.eñ
ab to yahi hain dil se du'aen
bhulne wale bhul hi jaen
baat to jab hai yun wo rulaen
dagh bhi dil ke dhulte jaen
wajh-e-sitam kuchh ho to bataen
ek mohabbat lakh KHataen
dard-e-mohabbat dil mein chhupaya
aankh ke aansu kaise chhupaen
hosh aur un ki did ka da'wa
dekhne wale hosh mein aaen
dil ki tabahi bhule nahin hum
dete hain ab tak tum ko du'aen
rang-e-zamana dekhne wale
un ki nazar bhi dekhte jaen
shaghl-e-mohabbat ab hai ye 'taskin'
she'r kahen aur ji bahlaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.