ab to zeba nahin ai rind gila bhi tera
ab to zebā nahīñ ai rind gila bhī terā
jaam saaqī ne sar-e-bazm bharā bhī terā
dil meñ jab garmī-e-iḳhlās-o-mohabbat hī nahīñ
kaam aane kā nahīñ harf-e-du'ā bhī terā
be-ḳhatar Daal de maujoñ meñ safīna apnā
nāḳhudā bhī hai tirā aur ḳhudā bhī terā
aaj tūfān uThāne ko uThā le lekin
zor ghaT jā.egā ai mauj-e-balā bhī terā
lab hilāne kī yahāñ jabki ijāzat hī nahīñ
kis zabāñ se kareñ ai dost gila bhī terā
ham to haiñ aaj bhī mahrūm-e-nazārā 'bahzād'
ek vo haiñ jinheñ dīdār huā bhī terā
ab to zeba nahin ai rind gila bhi tera
jam saqi ne sar-e-bazm bhara bhi tera
dil mein jab garmi-e-iKHlas-o-mohabbat hi nahin
kaam aane ka nahin harf-e-du'a bhi tera
be-KHatar Dal de maujon mein safina apna
naKHuda bhi hai tera aur KHuda bhi tera
aaj tufan uThane ko uTha le lekin
zor ghaT jaega ai mauj-e-bala bhi tera
lab hilane ki yahan jabki ijazat hi nahin
kis zaban se karen ai dost gila bhi tera
hum to hain aaj bhi mahrum-e-nazara 'bahzad'
ek wo hain jinhen didar hua bhi tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.