ab to zinda hue hain hum mar ke
ab to zinda hue haiñ ham mar ke
aa.iye dekh leñ nazar bhar ke
sāġhar-e-maut de mujhe bhar ke
un ke va.ade haiñ roz-e-mahshar ke
yaad aatī haiñ yaar kī āñkheñ
sāqiyā jaam de mujhe bhar ke
zinda rahte haiñ yā ki marte haiñ
muntazir haiñ visāl-e-dilbar ke
nāma-bar kā pata nahīñ shāyad
kaaT Daale hoñ par kabūtar ke
ek hī vaar meñ tamām kiyā
sadqe ho jā.ūñ tere ḳhanjar ke
sub.h ruḳh par paḌī hai gesū-e-shab
ab haiñ mehmān ham bhī shab bhar ke
bahr dil ho gayā hai tūfāñ meñ
uḌ ga.e hosh dīda-e-tar ke
naqsh-e-pā ban ke ai 'qamar' rahnā
pīr-o-murshid ke aur payambar ke
ab to zinda hue hain hum mar ke
aaiye dekh len nazar bhar ke
saghar-e-maut de mujhe bhar ke
un ke wade hain roz-e-mahshar ke
yaad aati hain yar ki aankhen
saqiya jam de mujhe bhar ke
zinda rahte hain ya ki marte hain
muntazir hain visal-e-dilbar ke
nama-bar ka pata nahin shayad
kaT Dale hon par kabutar ke
ek hi war mein tamam kiya
sadqe ho jaun tere KHanjar ke
subh ruKH par paDi hai gesu-e-shab
ab hain mehman hum bhi shab bhar ke
bahr dil ho gaya hai tufan mein
uD gae hosh dida-e-tar ke
naqsh-e-pa ban ke ai 'qamar' rahna
pir-o-murshid ke aur payambar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.