ab un ke pas bhi baqi bacha kya
ab un ke paas bhī baaqī bachā kyā
maiñ māñgūñ qātiloñ se ḳhūñ-bahā kyā
tumheñ pachhtāve kā hai rog kaafī
tumheñ de kar karūñ maiñ bad-duā kyā
mujhe yuuñ kar ke maujoñ ke havāle
sukūñ se so sakegā nāḳhudā kyā
nigah kā uThnā thā rāzoñ kā khulnā
mirī āñkhoñ meñ tū ne likh diyā kyā
mere bāloñ se kaliyāñ noch leñge
mire hamdam yahī deñge sila kyā
koī chehra mirā chehra nahīñ hai
na-jāne ā.inoñ ko ho gayā kyā
kise yuuñ DhūñDhtī phirtī haiñ har sū
nigāhoñ kā 'samīna' kho gayā kyā
ab un ke pas bhi baqi bacha kya
main mangun qatilon se KHun-baha kya
tumhein pachhtawe ka hai rog kafi
tumhein de kar karun main bad-dua kya
mujhe yun kar ke maujon ke hawale
sukun se so sakega naKHuda kya
nigah ka uThna tha raazon ka khulna
meri aankhon mein tu ne likh diya kya
mere baalon se kaliyan noch lenge
mere hamdam yahi denge sila kya
koi chehra mera chehra nahin hai
na-jaane aainon ko ho gaya kya
kise yun DhunDhti phirti hain har su
nigahon ka 'samina' kho gaya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.