ab un se pursish-e-haalat ho to kaise ho
ab un se pursish-e-hālāt ho to kaise ho
nazar nazar nigarāñ baat ho to kaise ho
jahāñ banā.e koī baat hī nahīñ bantī
vahāñ talāfī-e-māfāt ho to kaise ho
udhar naqāb-e-marātib idhar hijāb-e-anā
ye fāsle haiñ mulāqāt ho to kaise ho
vo jis ke dam se 'ibārat hai zindagī nāseh
usī se tark-e-muvālāt ho to kaise ho
jo apnī 'azmat-e-aqdār se nahīñ vāqif
vo pāsbān-e-rivāyāt ho to kaise ho
badalte rahte haiñ andāz us jafā-jū ke
yaqīn-e-lutf-o-‘ināyāt ho to kaise ho
ġham-e-jahāñ kā bhī kuchh haq hai 'bazm' ġhaur karo
tamām 'umr ġham-e-zāt ho to kaise ho
ab un se pursish-e-haalat ho to kaise ho
nazar nazar nigaran baat ho to kaise ho
jahan banae koi baat hi nahin banti
wahan talafi-e-mafat ho to kaise ho
udhar naqab-e-maraatib idhar hijab-e-ana
ye fasle hain mulaqat ho to kaise ho
wo jis ke dam se 'ibarat hai zindagi naseh
usi se tark-e-muwalat ho to kaise ho
jo apni 'azmat-e-aqdar se nahin waqif
wo pasban-e-riwayat ho to kaise ho
badalte rahte hain andaz us jafa-ju ke
yaqin-e-lutf-o-‘inayat ho to kaise ho
gham-e-jahan ka bhi kuchh haq hai 'bazm' ghaur karo
tamam 'umr gham-e-zat ho to kaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.