ab unhen mujhse kuchh hijab nahin
ab unheñ mujh se kuchh hijāb nahīñ
ab in āñkhoñ meñ koī ḳhvāb nahīñ
merī manzil hai raushnī lekin
merī qudrat meñ āftāb nahīñ
tujh ko tartīb de rahā huuñ maiñ
merī ġhazloñ kā intiḳhāb nahīñ
ab sunā hai ki mere dil kī tarah
ek sahrā hai māhtāb nahīñ
shaam itnī kabhī udaas na thī
kyuuñ tirī zulf meñ gulāb nahīñ
yuuñ na paḌhiye kahīñ kahīñ se hameñ
ham bhī insān haiñ kitāb nahīñ
kahkashāñ so rahī hai ai 'shabnam'
husn āñgan meñ mahv-e-ḳhvāb nahīñ
ab unhen mujh se kuchh hijab nahin
ab in aankhon mein koi KHwab nahin
meri manzil hai raushni lekin
meri qudrat mein aaftab nahin
tujh ko tartib de raha hun main
meri ghazlon ka intiKHab nahin
ab suna hai ki mere dil ki tarah
ek sahra hai mahtab nahin
sham itni kabhi udas na thi
kyun teri zulf mein gulab nahin
yun na paDhiye kahin kahin se hamein
hum bhi insan hain kitab nahin
kahkashan so rahi hai ai 'shabnam'
husn aangan mein mahw-e-KHwab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.