ab usko chahiye ja kar kisi se pyar kare
ab us ko chāhiye jā kar kisī se pyaar kare
yā merā agle janam tak kā intizār kare
kisī kalī kī hifāzat kī phuul banñe tak
vo aisā kaam kare hai ki jaise ḳhaar kare
maiñ kā.enāt ke hone kā raaz DhūñDūñgā
talāsh-e-āz bhale mujh ko ḳhvār-o-zār kare
vo hogā chor magar phir bhī mujh ko hogā 'azīz
jo koī bhī mirī taḳhlīq kā shikār kare
koī shai itnā nahīñ tang kartī hai 'jānif'
ki jitnā logoñ ko ik lambī sī qatār kare
tamām log pareshānī kī giraft meñ haiñ
ḳhudā ko chāhiye aa.e sabhī ko pyaar kare
ab us ko chahiye ja kar kisi se pyar kare
ya mera agle janam tak ka intizar kare
kisi kali ki hifazat ki phul banne tak
wo aisa kaam kare hai ki jaise KHar kare
main kaenat ke hone ka raaz DhunDunga
talash-e-az bhale mujh ko KHwar-o-zar kare
wo hoga chor magar phir bhi mujh ko hoga 'aziz
jo koi bhi meri taKHliq ka shikar kare
koi shai itna nahin tang karti hai 'jaanif'
ki jitna logon ko ek lambi si qatar kare
tamam log pareshani ki giraft mein hain
KHuda ko chahiye aae sabhi ko pyar kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.