ab use jo KHayal hai mera
ab use jo ḳhayāl hai merā
kyoñ hai ab ye savāl hai merā
jab the to qadr ki nahīñ merī
ab use kyuuñ malāl hai merā
log mujh ko bhulā nahīñ paate
itnā hī bas kamāl hai merā
jiinā tere baġhair mushkil hai
dekh aa ab jo haal hai merā
dekh taklīf merī bātoñ meñ
jiinā sach meñ muhāl hai merā
ḳhush huuñ ġham meñ huuñ kuchh ḳhabar hī nahīñ
kyā patā kyā ye haal hai merā
zindagī ik 'azāb hai merī
saañs lenā kamāl hai merā
jā rahe sab jo chhoḌ kar mujh ko
hijr-o-ġham kā ye saal hai merā
huuñ abhī jo bulandī pe 'rāzī'
us ke aage zavāl hai merā
ab use jo KHayal hai mera
kyon hai ab ye sawal hai mera
jab the to qadr ki nahin meri
ab use kyun malal hai mera
log mujh ko bhula nahin pate
itna hi bas kamal hai mera
jina tere baghair mushkil hai
dekh aa ab jo haal hai mera
dekh taklif meri baaton mein
jina sach mein muhaal hai mera
KHush hun gham mein hun kuchh KHabar hi nahin
kya pata kya ye haal hai mera
zindagi ek 'azab hai meri
sans lena kamal hai mera
ja rahe sab jo chhoD kar mujh ko
hijr-o-gham ka ye sal hai mera
hun abhi jo bulandi pe 'raazi'
us ke aage zawal hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.