ab wahan kyon mujhko jata hai dil-e-muztar liye
ab vahāñ kyoñ mujh ko jaatā hai dil-e-muztar liye
āshiqoñ ke naam to us ne register kar liye
halq se utrī to yaad aane lagā tauf-e-haram
mai-kade meñ shaiḳh sāhib ne ka.ī chakkar liye
ūñTnī par kar liyā lailā ne duniyā bhar kā tour
qais sāhib dasht meñ baiThe rahe daftar liye
ye buḌhāpā aur hūrān-e-bahishtī kā ḳhayāl
shaiḳh jī phirte haiñ ma.ajūn-e-shabāb-āvar liye
zindagī dushvār hai atom bamoñ ke daur meñ
vāqa.ī achchhe rahe jo ham se pahle mar liye
aa ke darbāñ ne vahīñ merā bichhaunā kar diyā
un ke darvāze meñ maiñ jab ghus gayā bistar liye
līDarān-e-qaum kā ‘ustād’ yuuñ chaltā hai kaam
qaum par aañsū bahā.e aur dāman bhar liye
ab wahan kyon mujh ko jata hai dil-e-muztar liye
aashiqon ke nam to us ne register kar liye
halq se utri to yaad aane laga tauf-e-haram
mai-kade mein shaiKH sahib ne kai chakkar liye
unTni par kar liya laila ne duniya bhar ka tour
qais sahib dasht mein baiThe rahe daftar liye
ye buDhapa aur huran-e-bahishti ka KHayal
shaiKH ji phirte hain majun-e-shabab-awar liye
zindagi dushwar hai atom bamon ke daur mein
waqai achchhe rahe jo hum se pahle mar liye
aa ke darban ne wahin mera bichhauna kar diya
un ke darwaze mein main jab ghus gaya bistar liye
liDaran-e-qaum ka ‘ustad’ yun chalta hai kaam
qaum par aansu bahae aur daman bhar liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.