ab wo daman kahan wo hath kahan
ab vo dāman kahāñ vo haath kahāñ
vo takallum vo vāqi'āt kahāñ
maut kā kuchh pata nahīñ hai kahīñ
zindagī se abhī najāt kahāñ
maiñ to sūraj huuñ kab kā Dhal bhī chukā
DhūñDhtī hai mujhe ye raat kahāñ
pahle to 'umr-bhar rulāte the
marne vāloñ meñ ab vo baat kahāñ
maiñ ne kyā kyā kahā na un se magar
kah sakā huuñ maiñ dil kī baat kahāñ
ab wo daman kahan wo hath kahan
wo takallum wo waqi'at kahan
maut ka kuchh pata nahin hai kahin
zindagi se abhi najat kahan
main to suraj hun kab ka Dhal bhi chuka
DhunDhti hai mujhe ye raat kahan
pahle to 'umr-bhar rulate the
marne walon mein ab wo baat kahan
main ne kya kya kaha na un se magar
kah saka hun main dil ki baat kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.