ab wo humse mila nahin karte
ab wo humse mila nahin karte
Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
MORE BYSultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
ab vo ham se milā nahīñ karte
ham bhī un se gila nahīñ karte
ġham-gusārī bajā hai lekin dost
zaḳhm dil ke silā nahīñ karte
kab se ḳhāmosh hai rabāb-e-hayāt
taar dil ke hilā nahīñ karte
chand ġhunche the ārzūoñ ke
jo abhī tak khilā nahīñ karte
garche mohsin na mohtaram haiñ ab
ham 'shahīdī' gila nahīñ karte
ab wo hum se mila nahin karte
hum bhi un se gila nahin karte
gham-gusari baja hai lekin dost
zaKHm dil ke sila nahin karte
kab se KHamosh hai rabab-e-hayat
tar dil ke hila nahin karte
chand ghunche the aarzuon ke
jo abhi tak khila nahin karte
garche mohsin na mohtaram hain ab
hum 'shahidi' gila nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.