ab wo jo nahin unki tamanna bhi bahut hai
ab vo jo nahīñ un kī tamannā bhī bahut hai
jiine ke liye shorish-e-duniyā bhī bahut hai
ab sard-havā sho.ala-e-jāñ soz-e-junūñ bhī
ab garmī-e-husn-e-ruḳh-e-zebā bhī bahut hai
ḳhush-kāmatī-e-sarv kā charchā hai ġhanīmat
ab tazkira-e-nargis-o-lāla bhī bahut hai
tum kaun se the aise sazā-vār-e-ināyat
vo pūchh rahe haiñ tumheñ itnā bhī bahut hai
yā talḳhi-e-mai hī thī javāb-e-ġham-e-duniyā
yā zikr-e-mai-o-sāġhar-o-mīnā bhī bahut hai
yā gardish-e-daurāñ ko bhī ḳhātir meñ na laate
yā ab kisī ummīd pe jiinā bhī bahut hai
ab wo jo nahin un ki tamanna bhi bahut hai
jine ke liye shorish-e-duniya bhi bahut hai
ab sard-hawa shoala-e-jaan soz-e-junun bhi
ab garmi-e-husn-e-ruKH-e-zeba bhi bahut hai
KHush-kaamati-e-sarw ka charcha hai ghanimat
ab tazkira-e-nargis-o-lala bhi bahut hai
tum kaun se the aise saza-war-e-inayat
wo puchh rahe hain tumhein itna bhi bahut hai
ya talKHi-e-mai hi thi jawab-e-gham-e-duniya
ya zikr-e-mai-o-saghar-o-mina bhi bahut hai
ya gardish-e-dauran ko bhi KHatir mein na late
ya ab kisi ummid pe jina bhi bahut hai
- Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 401)
- Author : Sajjad Baqir Rizvi
- Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.