ab wo mujhse KHafa nahin hota
ab vo mujh se ḳhafā nahīñ hotā
ab koī hādisa nahīñ hotā
raat aatī hai raat jaatī hai
koī va.ada vafā nahīñ hotā
aap mere qarīb rahte haiñ
kam magar fāsla nahīñ hotā
kitne bādal baras ga.e lekin
ḳhushk paudā harā nahīñ hotā
dil kī tārīkiyāñ nahīñ jātīñ
duur añdherā zarā nahīñ hotā
ye karishme haiñ sab aqīdat ke
koī patthar ḳhudā nahīñ hotā
jism āzād ho gayā lekin
dil qafas se rihā nahīñ hotā
maiñ ik aisī sharāb huuñ 'nīlam'
jis ko pī kar nasha nahīñ hotā
ab wo mujh se KHafa nahin hota
ab koi hadisa nahin hota
raat aati hai raat jati hai
koi wada wafa nahin hota
aap mere qarib rahte hain
kam magar fasla nahin hota
kitne baadal baras gae lekin
KHushk pauda hara nahin hota
dil ki tarikiyan nahin jatin
dur andhera zara nahin hota
ye karishme hain sab aqidat ke
koi patthar KHuda nahin hota
jism aazad ho gaya lekin
dil qafas se riha nahin hota
main ek aisi sharab hun 'nilam'
jis ko pi kar nasha nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.