ab yahan koi nahin sath nibhane wala
ab yahāñ koī nahīñ saath nibhāne vaalā
terī yādoñ ke sivā kaun hai aane vaalā
aadmī jaag hī jaatā hai sahar hone par
us ke andar hī koī hogā jagāne vaalā
din meñ kitnī hī tamāzat ko luTā.e sūraj
ham ne paayā hai use Duub hī jaane vaalā
kis ke aañsū haiñ jo pattoñ pe chhalak aa.e haiñ
kaun sā zaḳhm hai shāḳhoñ ko rulāne vaalā
paañv se lipTī huī miltī haiñ rāheñ kitnī
haa.e kis soch meñ niklā hai ye jaane vaalā
zabt TūTegā to ye zaḳhm dahan kholeñge
aañsū pī legā sabhī aañsū bahāne vaalā
shā.erī apnī 'nazar' sāda-o-purkār nahīñ
ab kahāñ koī rahā sher sunāne vaalā
ab yahan koi nahin sath nibhane wala
teri yaadon ke siwa kaun hai aane wala
aadmi jag hi jata hai sahar hone par
us ke andar hi koi hoga jagane wala
din mein kitni hi tamazat ko luTae suraj
hum ne paya hai use Dub hi jaane wala
kis ke aansu hain jo patton pe chhalak aae hain
kaun sa zaKHm hai shaKHon ko rulane wala
panw se lipTi hui milti hain rahen kitni
hae kis soch mein nikla hai ye jaane wala
zabt TuTega to ye zaKHm dahan kholenge
aansu pi lega sabhi aansu bahane wala
shaeri apni 'nazar' sada-o-purkar nahin
ab kahan koi raha sher sunane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.