ab yahan sahib-e-taslim-o-raza koi nahin
ab yahāñ sāhib-e-taslīm-o-razā koī nahīñ
tajraba ye huā pāband-e-vafā koī nahīñ
ġham to ye hai ki jo barham the vo barham hī rahe
apne miTne kā hameñ shikva gila koī nahīñ
rāh-rau jāda-e-hastī se guzarte hī rahe
chhoḌ kar naqsh-e-qadam apne gayā koī nahīñ
ham to chalte rahe kāñToñ kī guzargāhoñ par
ham-safar raah meñ tā-dūr milā koī nahīñ
shahr kā shahr huā ātish-e-taḳhrīb kī nazr
log kahte haiñ ki sho.aloñ meñ jalā koī nahīñ
yūñhī gardish meñ shab-o-roz guzar jaate haiñ
ek markaz pe zamāne meñ rahā koī nahīñ
ab yahan sahib-e-taslim-o-raza koi nahin
tajraba ye hua paband-e-wafa koi nahin
gham to ye hai ki jo barham the wo barham hi rahe
apne miTne ka hamein shikwa gila koi nahin
rah-rau jada-e-hasti se guzarte hi rahe
chhoD kar naqsh-e-qadam apne gaya koi nahin
hum to chalte rahe kanTon ki guzargahon par
ham-safar rah mein ta-dur mila koi nahin
shahr ka shahr hua aatish-e-taKHrib ki nazr
log kahte hain ki shoalon mein jala koi nahin
yunhi gardish mein shab-o-roz guzar jate hain
ek markaz pe zamane mein raha koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.