ab yahi behtar hai naqsh-e-ab hone de mujhe
ab yahī behtar hai naqsh-e-āb hone de mujhe
yūñhī rusvā ḳhātir-e-ahbāb hone de mujhe
niiñd āñkhoñ meñ parindoñ kī tarah utrī hai aaj
ai nafas āhista chal ġharqāb hone de mujhe
ek TukḌā abr kā phirtā hai mānind-e-ġhazāl
ai mirī chashm-e-havas sairāb hone de mujhe
'umr bhar meñ ek kaam aisā to kar shauq-e-junūñ
maiñ agar dariyā huuñ to be-āb hone de mujhe
maiñ bhī patthar ban ke zer-e-āb so jā.ūñ kahīñ
kab huā aisā ki ab girdāb hone de mujhe
mehrbāñ jangal ke saa.e tū hī de apnī panāh
ḳhvāb āñkhoñ meñ haiñ mahv-e-ḳhvāb hone de mujhe
pyaas kahtī hai ki chal dariyā uThā laa.eñ yahīñ
dard kahtā hai ki ruk pāyāb hone de mujhe
ab yahi behtar hai naqsh-e-ab hone de mujhe
yunhi ruswa KHatir-e-ahbab hone de mujhe
nind aankhon mein parindon ki tarah utri hai aaj
ai nafas aahista chal gharqab hone de mujhe
ek TukDa abr ka phirta hai manind-e-ghazal
ai meri chashm-e-hawas sairab hone de mujhe
'umr bhar mein ek kaam aisa to kar shauq-e-junun
main agar dariya hun to be-ab hone de mujhe
main bhi patthar ban ke zer-e-ab so jaun kahin
kab hua aisa ki ab girdab hone de mujhe
mehrban jangal ke sae tu hi de apni panah
KHwab aankhon mein hain mahw-e-KHwab hone de mujhe
pyas kahti hai ki chal dariya uTha laen yahin
dard kahta hai ki ruk payab hone de mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.